1. Ye Matam-e-Shaheed jo Rasme Aza Bhi Hai
Tableeghe Amr-e-deen Ka ek silsila bhi hai
2. Sayye Amal Se Qismate Joshe Ola Bhi hai
Hur a.s Motaqid Hua to Sue Sheh Chala Bhi Hai
3. Ye baat har Musafire Firdaus Jaan le
Jannat Ke Raste Me Haram-e-Karbala Bhi hai
4. Khamosh Hai Tamam Yazeedo'n Ki Baia'tein
Tan se juda Hussain a.s ka Sar Bolta Bhi hai
5. Lakho'n se Jung Pyaas Ghamo Dard-o-Zakhm-o-Khu'n
Shabbir a.s Ke liye Ye koi Mas-ala bhi hai
6. Asghar a.s ne Dil Hila diye Aadaye Deen ke
Ye Jung Ibteda Hi nahi Inteha Bhi Hai
7. Sajde me sar Utarne walo Tumhi Kaho
Batil Ki Quwwato'n se Kabhi Ye Dara Bhi Hai
8. Betha Ghubaare Karbo-bla To nazar Pda
Apni Jagah Rasool Bhi Hain Aur Khuda Bhi hai
9. Shabbir a.s Ab Ba-Qasde Shahadat Hai Hamlawar
Ek Muntazir Hai Ek Qyamat Bapa Bhi Hai
10. Abbas a.s Ko Khudaye Wafa Manta Hun Mein
Ye Aur Baat Hai wo Mera Na-Khuda Bhi hai
11. Bhaari Hain Ambiyan Par 72 Khuda Parast
Maidan Mein Shabeeh-e-Rasool-e-Khuda Bhi Hai
12. Ya Rab Tere Jaha'n me Khuda To Bohat Hue
Lekin bata Hussain a.s Koi Dusra Bhi Hai
13. Lashkar Ko Sabr-o-himmat-e-Aabid a.s Se Khauf Tha
Pairo'n mein Bediya'n Hain Rasan Me Gala Bhi Hai
14. Aulad-e Fatema a.s Ke Saro'n Par Rida Nahi
Ae Aaftabe Hashr Tujhe Kuch Pata Bhi hai
15. Tum Be-Khatar Hussain a.s Ko rote Raho Rabeed
Mushkil me Jo Pada Hai to Mushkil Kusha Bhi Hai
No comments:
Post a Comment