Followers

Thursday, August 14, 2025

Shabe Aashoor Salam ( Written By Janab Ameer Qasim )

 1. Aashoor ki shab kehti thi'n Zainab a.s Yhi rokar , Ya rab Na Sehar Kar

Kal Bhai Mera Hoyega Pyasa Tahe Khanjar, Ya rab Na Sehar kar

2. Pardes Hain hum Dur Nahi Koi Hmara, Hai Tera Sahara

Lut Jayega Kal Fatema Zehra a.s Ka Bhara Ghar, Ya rab Na Sehar kar

3. Bhaiyya Pe Fida Hoyengy Kal Moniso-yawar, Pardes Me Aakar

Kal Khun me Dubega Mera Qasim-e-Muztar, Ya rab na sehar kar

4. Mashkiza Bhi Chhid Jayega ek Teer-e-Sitam se, Darya ke Kinare

Kat Jayenge Bazuuye Alamdare Dilawar, Ya rab na Sehar Kar

5. Thi Dil me Tamanna Ke Dulhan Biyah ke Laati, Aur Duhla Banati

Kal Mujhse Bichhad Jayega Mera Ali Akbar a.s, Ya rab na Sehar Kar

6. Wo Pyaas Ki Shiddat Wo Shahadat Ki Tamanna, 6 Maah Ka Baccha

Mar Jayega Haatho'n Pe Padar ke Ali Asghar a.s, Ya Rab Na Sehar Kar

7. Sab Chadare Chhin Jaye'ngi Jal Jayengy Khiame, Na moose Nabi Ke

Kal Hoyengi Saiydaniya'n Balwe Me Khule Sar, Ya Rab na Sehar kar

No comments:

Post a Comment

Salaam : Allama Rabeed Baharvi

 1. Ye Matam-e-Shaheed jo Rasme Aza Bhi Hai Tableeghe Amr-e-deen Ka ek silsila bhi hai 2. Sayye Amal Se Qismate Joshe Ola Bhi hai Hur a.s Mo...