Followers

Sunday, August 24, 2025

Salaam : Allama Rabeed Baharvi

 1. Ye Matam-e-Shaheed jo Rasme Aza Bhi Hai

Tableeghe Amr-e-deen Ka ek silsila bhi hai

2. Sayye Amal Se Qismate Joshe Ola Bhi hai

Hur a.s Motaqid Hua to Sue Sheh Chala Bhi Hai

3. Ye baat har Musafire Firdaus Jaan le

Jannat Ke Raste Me Haram-e-Karbala Bhi hai

4. Khamosh Hai Tamam Yazeedo'n Ki Baia'tein

Tan se juda Hussain a.s ka Sar Bolta Bhi hai

5. Lakho'n se Jung Pyaas Ghamo Dard-o-Zakhm-o-Khu'n

Shabbir a.s Ke liye Ye koi Mas-ala bhi hai

6. Asghar a.s ne Dil Hila diye Aadaye Deen ke 

Ye Jung Ibteda Hi nahi Inteha Bhi Hai

7. Sajde me sar Utarne walo Tumhi Kaho

Batil Ki Quwwato'n se Kabhi Ye Dara Bhi Hai

8. Betha Ghubaare Karbo-bla To nazar Pda 

Apni Jagah Rasool Bhi Hain Aur Khuda Bhi hai

9. Shabbir a.s Ab Ba-Qasde Shahadat Hai Hamlawar

Ek Muntazir Hai Ek Qyamat Bapa Bhi Hai

10. Abbas a.s Ko Khudaye Wafa Manta Hun Mein

Ye Aur Baat Hai wo Mera Na-Khuda Bhi hai 

11. Bhaari Hain Ambiyan Par 72 Khuda Parast 

Maidan Mein Shabeeh-e-Rasool-e-Khuda Bhi Hai

12. Ya Rab Tere Jaha'n me Khuda To Bohat Hue

Lekin bata Hussain a.s Koi Dusra Bhi Hai

13. Lashkar Ko Sabr-o-himmat-e-Aabid a.s Se Khauf Tha

Pairo'n mein Bediya'n Hain Rasan Me Gala Bhi Hai

14. Aulad-e Fatema a.s Ke Saro'n Par Rida Nahi

Ae Aaftabe Hashr Tujhe Kuch Pata Bhi hai 

15. Tum Be-Khatar Hussain a.s Ko rote Raho Rabeed 

Mushkil me Jo Pada Hai to Mushkil Kusha Bhi Hai 


Salaam : Afsanaye Shabbir a.s ko Dil kese Bhula de

 1. Afsanaye Shabbir a.s ko Dil kese Bhula de

Zikre Shahe Mazloom do Aalam Ko Hila de

2. Chheh Maah ke Bacche Bhi Kahin Jaate Hain Run me

Haatho'n pe Shahe deen Ke wo Asghar a.s Ke Irade

3. Aenthi Hai zabaa'n Khushk hai Lab Pyaas Ke Maare

Hai koi Jo Paani Ali Asghar a.s Ko pila de

4. Behte hue Asghar a.s ka Lahu Dekhte walo

Shabbir a.s Sa Sabir Koi Duniya me Dikha de

5. Mayyat Ali Asghar a.s Ki liye Rote Hain Maula

Bano se Khabar Jaa ke Koi itni Suna de

6. Ab Raat Hui Jaati Hai Ae Hasliyo Wale

Aaja tujhe Maadar Teri Jhule me Jhula De

7. Laashe Ali Akbar a.s pe Yhi Kehte the Maula

Beta tere Ghum me Humein Ab sabr Khuda de

8. Kis Ban Me Tujhe Dhundhne Jaye Teri Madar

Beta Ali Asghar  a.s Mjhe Aawaz Suna De

9. Sughra A.s Ki Zubaa'n Par Yhi Din Raat Dua Thi

Ya Rab Mere Baba Se Mujhe Jald Mila de

10. Kat te Hue Bhai Ka gala Dekh Rahi hai 

Ae shimr Dare Khaima Se Zainab a.s Ko Hata de


Saturday, August 23, 2025

Salam : Allama Rabeed baharvi Kawal

1. Ab tak to Sipahe Aalam se Uska na koi Humsar Nikla

Chhota sa Mujahid Asghar a.s bhi Sach hai ki bda Safdar Nikla

2. Asghar a.s ki hasi'n ka Koi Jawab Aada Ke Labo'n Tak Aa na Ska

Gardan Ke liye Navak Aaye Pyase Ke Liye Khanjar Nikla

3. Jungaah ki chashme Haira'n ko Qasim a.s ki tajalli Yad nhi

Itna to Mawarriq Likhta hai Khaime e Qamar Bahar Nikla

4. Bhai ki Wafa ka Afsana Abbas-e-Ali a.s pr Khtm hua

Zainab a.s se na aage baat badhi jb taskraye Khwahar nikla

5. Firouniyo Musaai hona kuch sudo Ziya tanha ka Nahi

Ek shaqs maye lashkar duba Ek shaqs maye lashkar Nikla

6. Paalane shutar ke Mimbar yun leke Nabi Haider a.s ko chale

Bhulegi na Duniya gar Suraj Matle se zra hatkar Nikla

7. Ghar Baar liye Shabbir a.s chale jis trh Rahe Qurbaani me

Tariq-e-Shahadat batla de aese koi Paighambar nikla

8. Kaabe se hi kya dil se bhi nisha'n Haider a.s ne buto'n ke saaf kiye

Jo daste Khuda ke haath Lga gir kar wo sanam Pathhar nikla

9. Abbas-e-Ali Maidan me hain Lashkar se niklna thik nahi'n

Maut uspe Badhegi chi ba Jabi badle hue jo tewar Nikla

10. Irfaane Imamat ka ek pal hai jehal ki sadiyo'n par Bhari 

Hur a.s Behre Shahadat me aesa duba ke lab-e-kausar nikla

11. Abbas-e-wafa maidan me hain lashkar se niklna thik nahi'n

Sahil pe saro ki barish ki darya se na daman tar nikla

12. Darwazaye shehre ilm hai jo kya qasre jihalat uske liye

Kya chiz samajhti thi duniya kya chiz Dare khaibar nikla

13. Aamal ke qad napte the jahan paimanaye haq se mehshar me

Shabbir a.s ke jisme be sar se ucha na kisi ka sar nikla

14. Hum Raqibe doshe Ahmad ke roze ki ziyarat kyun na krein

Is Khaak pe jo bhi aa betha wo arshe baree'n hokar nikla

15. Shaame shabe hijrat ke dushman khush the ke hasad ki aag bujhi 

Jab zulm ke hatho'n Aabid a.s ke niche se jla bistar nikla

16. Humshakle Nabi barchi khaye Dum tod rha tha jab run me

Aflaak ki chashme hairan se ta hasr na wo manzar nikla

17. Han paaye swate aabid me ab tak na koi larghish aayi

Wo taqt-e-sitam wo taaje shahi Bimaar ki ek thokar nikla

18. Ashke ghume sarwar ki manzil Madar se Rabeed-e-Zaar Samajh

Rumaal me Zehra a.s Ke Rakkha Aankhon se jo ye Gohar Nikla


   - Allama Rabeed Baharvi Sahab, Kawal Jansath , Muzaffarnagar

Friday, August 22, 2025

Sher

 1. Takleef deh Hai Itni Daraziye Umr Bhi

Apne chaman me phirte hain be-aashna se hum

                                    - Janab Nazir Hasan

2. Guzarti Ja rahi hai zindagi yun Daar-e-faani se

Ke Jaise Bulbula Uthta Hai or Milta hai pani se

Khuda Rkhe Salamat is Zayifi Ko Qayamat Tak

Palatkar Phir na koi Mil ska Apni Jawani se

                                   - Janab Ameer Qasim Zaidi

3. Tum to Soti ho Sare Khaak Sware Gesu

Baal kiske Mere Laashe pe Parishaa'n Hogey

                           - Khandan ke buzurg jinhone apne zoja ke inteqaal par ye sher likha tha 

Sunday, August 17, 2025

Marsiya ( Shahadate Janabe Ali Akbar a.s)

1. Jab Gira Khake Sina Sine Pe Akbar a.s Run Me

Jum Gyi Aake Dubara Safe Lashkar Run me

Shah Kehte The Kahan Ho Mere Dilbar Run me 

Baap Bechain Hai Hum-Shakle Payambar Run me

Ab Nazar Bhi Nhi Aata Kidhar Aau'n Beta

Kis Tarah Aake Teri Laash Uthaau'n Beta


2. Ab Akela Hu Nahi Koi Sahara Beta

Chhoda Pardes me Kyun Sath Hmara Beta 

 Sabr Kis kisko Kre Baap Tumhara Beta

Tere Marne ne Hme Aur Bhi Mara Beta

Dil Ko Dharas Thi Brabar ka pisar Baqi Hai

Aa gyi Maut Tumhe Aur Padar Baqi Hai


3. Kya Isi Waaste Maa Ne teri Pala Akbar a.s

Dil Ka Arman Bhi Koi Na nikala Akbar a.s

Beta Hota Hai Budhape ka Sahara Akbar a.s

Me zayiifi Me Uthaauo'n Tera Laasha Akbar a.s

Jald Ab Chehraye Purnoor Dikha do Beta

Dhundta Phirta Hun Aawaz Suna Do Beta


4. Ghash me Sun li Ali Akbar a.s Ne jo Faryade Hussain a.s 

Gir Pade Uth ke Ye Sine me Hua Dil Bechain 

Beqrari me Pukaare Ye basad Shevano Shain

Ae Muhammad s.a Ke Pisar Uqda Kushaye Konain

Dum Hai Chhati me Ruka Kuuch Ki Tyarri Hai

Aaiye Jld Ke Hungame Madad gaari Hai


5. Sunke Aawaze Pisar Sayyade Wala Daude

Neem Bismil Ki Tarah Gir ke Har ek Jaa Daude

Kabhi khole hue Aaghoshe Tamanna Daude

Kabhi Thame Hue Haatho se Kaleja Daude

Jaa'n Balab Ho Gye Sadme Ye Jigar Par Pohche 

Thokre Khaate hue Laashe Pisar Par Pohche


6. Kholkar Aankho'n ko Hazrat Ne ye phir Shah se Kaha

Sadqe is Lutf Ke Is banda Nwazi Pe fida

Mujhko Aaghosh me Is Waqt liye hian Zehra a.s

Jaame Kausar Kabhi dete Hain mujhe Shere Khuda

Paani ko Dekhke Dil Ghum Se Phata Jata Hai

Aapko Pyaas ka Sadma Mujhe Yaad Aata Hai


7. Roke Sheh Bole Ba Ab Dil na Dukhao Beta 

Tishnagi par Meri Aansu Na bahao Beta

Haath Chhati Pe Jo Rkha Hai Uthao Beta

Zakhm Sine Ka Mujhe Bhi to Dikhao Beta

Kis Zabaa'n Se Kahun Maula ne Mere Kya Dekha 

Tukde Tukde Ali Akbar a.s Ka Kaleja Dekha


8. Shah-e-dee'n Dair Talak Laashe Pisar Par Bethe

Jaanibe Khaima Ye Aawaz Suna Kar Bethe

Naujawa'n Bete ka Ghum Haye na Dil Par Bethe

Gaud me Leke Kabhi Laashaye Akbar a.s Bethe

Kabhi Haatho'n Se Jigar Thaam Ke Reh Jate The

Ghum Me bete Ke ye Aalam Tha Na Uth Paate the


9. Kabhi Kehte the Habib Ibne Mazahir Aao

Waqt-e-Imdaad Hai Abaas-e-Dilawar Aao

Kis se Faryaad Karei'n Koi To Uthkar Aao

Ab Uthaana Hai Hme Laashaye Akbar a.s Aao

Na Raha Ab Koi Peeri Ka Sahara Yaaro

Zaalimo'n Ne Mere Farzand Ko Mara Yaaro


10. Ya Ali.as Mu se Kaha Aur Uthaya Laasha 

Yahan Bete Ka wahan Beti Ka Tadpa Laasha

Hil Gyi Run ki Zami'n Kaandhe Pe Aaya Laasha

Ghul Hua Shah Ne Payambar Ka uthaya Laasha

DekhKar Zainab-E_Muztar Nikal Aayi Bahar 

Kok Pkde Hue Madar Nikal Aayi Bahar 

Salaam : Allama Rabeed Baharvi

 1. Ye Matam-e-Shaheed jo Rasme Aza Bhi Hai Tableeghe Amr-e-deen Ka ek silsila bhi hai 2. Sayye Amal Se Qismate Joshe Ola Bhi hai Hur a.s Mo...