1. Jab Gira Khake Sina Sine Pe Akbar a.s Run Me
Jum Gyi Aake Dubara Safe Lashkar Run me
Shah Kehte The Kahan Ho Mere Dilbar Run me
Baap Bechain Hai Hum-Shakle Payambar Run me
Ab Nazar Bhi Nhi Aata Kidhar Aau'n Beta
Kis Tarah Aake Teri Laash Uthaau'n Beta
2. Ab Akela Hu Nahi Koi Sahara Beta
Chhoda Pardes me Kyun Sath Hmara Beta
Sabr Kis kisko Kre Baap Tumhara Beta
Tere Marne ne Hme Aur Bhi Mara Beta
Dil Ko Dharas Thi Brabar ka pisar Baqi Hai
Aa gyi Maut Tumhe Aur Padar Baqi Hai
3. Kya Isi Waaste Maa Ne teri Pala Akbar a.s
Dil Ka Arman Bhi Koi Na nikala Akbar a.s
Beta Hota Hai Budhape ka Sahara Akbar a.s
Me zayiifi Me Uthaauo'n Tera Laasha Akbar a.s
Jald Ab Chehraye Purnoor Dikha do Beta
Dhundta Phirta Hun Aawaz Suna Do Beta
4. Ghash me Sun li Ali Akbar a.s Ne jo Faryade Hussain a.s
Gir Pade Uth ke Ye Sine me Hua Dil Bechain
Beqrari me Pukaare Ye basad Shevano Shain
Ae Muhammad s.a Ke Pisar Uqda Kushaye Konain
Dum Hai Chhati me Ruka Kuuch Ki Tyarri Hai
Aaiye Jld Ke Hungame Madad gaari Hai
5. Sunke Aawaze Pisar Sayyade Wala Daude
Neem Bismil Ki Tarah Gir ke Har ek Jaa Daude
Kabhi khole hue Aaghoshe Tamanna Daude
Kabhi Thame Hue Haatho se Kaleja Daude
Jaa'n Balab Ho Gye Sadme Ye Jigar Par Pohche
Thokre Khaate hue Laashe Pisar Par Pohche
6. Kholkar Aankho'n ko Hazrat Ne ye phir Shah se Kaha
Sadqe is Lutf Ke Is banda Nwazi Pe fida
Mujhko Aaghosh me Is Waqt liye hian Zehra a.s
Jaame Kausar Kabhi dete Hain mujhe Shere Khuda
Paani ko Dekhke Dil Ghum Se Phata Jata Hai
Aapko Pyaas ka Sadma Mujhe Yaad Aata Hai
7. Roke Sheh Bole Ba Ab Dil na Dukhao Beta
Tishnagi par Meri Aansu Na bahao Beta
Haath Chhati Pe Jo Rkha Hai Uthao Beta
Zakhm Sine Ka Mujhe Bhi to Dikhao Beta
Kis Zabaa'n Se Kahun Maula ne Mere Kya Dekha
Tukde Tukde Ali Akbar a.s Ka Kaleja Dekha
8. Shah-e-dee'n Dair Talak Laashe Pisar Par Bethe
Jaanibe Khaima Ye Aawaz Suna Kar Bethe
Naujawa'n Bete ka Ghum Haye na Dil Par Bethe
Gaud me Leke Kabhi Laashaye Akbar a.s Bethe
Kabhi Haatho'n Se Jigar Thaam Ke Reh Jate The
Ghum Me bete Ke ye Aalam Tha Na Uth Paate the
9. Kabhi Kehte the Habib Ibne Mazahir Aao
Waqt-e-Imdaad Hai Abaas-e-Dilawar Aao
Kis se Faryaad Karei'n Koi To Uthkar Aao
Ab Uthaana Hai Hme Laashaye Akbar a.s Aao
Na Raha Ab Koi Peeri Ka Sahara Yaaro
Zaalimo'n Ne Mere Farzand Ko Mara Yaaro
10. Ya Ali.as Mu se Kaha Aur Uthaya Laasha
Yahan Bete Ka wahan Beti Ka Tadpa Laasha
Hil Gyi Run ki Zami'n Kaandhe Pe Aaya Laasha
Ghul Hua Shah Ne Payambar Ka uthaya Laasha
DekhKar Zainab-E_Muztar Nikal Aayi Bahar
Kok Pkde Hue Madar Nikal Aayi Bahar
No comments:
Post a Comment