Followers

Tuesday, August 12, 2025

Shabbir a.s sahara hai, Shabbir sahara hai

1. Shabbir a.s sahara hai, Shabbir sahara hai 

Momin ki na ho Bakhshish, kab inko gwara hai

2. Ye kehke Labe Dariya Abbas a.s ne dam toda

Jannat bhi hmari hai, Kausar bhi hmara hai

3. Jalti hu raiti par bacche hain shahe dee'n ke

Aur samne aankhon ke darya ka kinara hai

4. Lo sabr karo Zainab a.s aaghosh ke pale ko

Run se Ali Akbar a.s ne baba ko pukara hai

5. Do roz ke pyase hain pani do musalmano

Sukhe hue honto'n se Asghar a.s ka ishara hai

6. Jalte hue Khaimo'n se aawaz ye aati hai

Pardes me Zainab a.s ka ab kaun sahara hai

7. Hilti hai zami'n run ki faryad se Bano ki

Turbat me shahe dee'n ne Asghar a.s ko utara hai

8. Pardes me maula ko Chhodo na Ali Akbar a.s

Ghurbat me Zayeefi ka beta hi sahara hai

9. Hoti jo madine me kyun Kafn na pehnati 

Majboor hun mein bhai pardes me maara hai

10. Neze pe sare aqdas karta hai tilawat kyun

Rokar kaha Aabid a.s ne ye shewa hmara hai

11. Sar tasht me jab aaya darbare Yazeedi me 

Pucha gya Zainab a.s se ye bhai tumara hai 

12. Padhta hi rahe Qasim maula teri majlis me

Mushkil meri hal karna gardish me sitara hai 


Writer Janab Ameer Qasim ( Kawaal Muzaffarnagar )

No comments:

Post a Comment

Salaam : Allama Rabeed Baharvi

 1. Ye Matam-e-Shaheed jo Rasme Aza Bhi Hai Tableeghe Amr-e-deen Ka ek silsila bhi hai 2. Sayye Amal Se Qismate Joshe Ola Bhi hai Hur a.s Mo...