1. Momino raat muharram ki Jab aayi daswi
Jaagte jaagte aankhein ju'n hi baano ki lagi
Khwab me dekha ki ek bibi hai dukhya ghamgi'n
Sar khule baalo'n se ro ro ke wo jhade hai zami'n
Apne baalon se wo wo karti hai zami'n ko humwar
Khaak par bethi hai jungle me akeli laachar
2. Dekha bano ne kaha kon hia tu dukh payi
Apna ghar chhod k jungle me jo rone aayi
Kiske karan tujhe is bn me Musibat Layi
Mein bhi maloom karun kon hai tu dukh payi
Apne haatho'n se sawari hai zami'n kiske liye
Sar ke baalo'n se buhaari hai zami'n kiske liye
3. Wo lagi kehne ke kya puche hai baano bibi
Fatema a.s zehra jise kehte hain mein hun bibi
Kal mere laal Hussaina ki yahan maut likhi
Haaye pyaasa use kal zabha karengy kufi
Chhod jayengy akela jo mere jaani ko
Uske laashe pe mein bethungi nigehbaani ko
4. Faaqe kar karke jise dudh pilaya baano
Jiska Haider ne har ek naaz uthaya baano
Apne kaandhe pe Muhammad s.a ne bithaya baano
Jisko Jibreel ne jhule me jhulaya baano
Ye na maloom tha sar uska katega bibi
Aj pardes me ghar mera lutega bibi
5. Chakkiyan pis ke mene ise pala bibi
Dil ka armaan bhi koi na nikala bibi
Haye kis mu se karoon giryaao naala bibi
Mera Shabbir a.s meri gaud ka pala bibi
Yaaro ansaar me baqi na bachega koi
Mere bacche ko kafan tak bhi na dega koi
6. Sunke ye baanu-e-muztar pe udasi chhayi
Ashak behne lge aankhon se bohat ghabrayi
Dil pe ek kohe alam tut pda chillayi
Bibiyo'n roo'o gharibo'n pe musibat chhayi
Baal bikhraye hue chaak garibaa'n dekha
Khwaab me Fatema zehra a.s ko parishaa'n dekha
7. Kaali poshaak me be maqnao chadar dekha
Kok pakde huye bethi hain zami'n par dekha
Na dikhaye kisi bibi ko wo manzar dekha
Mene Shabbir a.s ki maadar ko khule sar dekha
Baade murdan bhi mila chain na dam bhar ke liye
Aaj wo roti hai jungle me bhare ghar ke liye
8. Mere maula mere aaqa ko bula de koi
Nikli jaati hai meri jaan suna de koi
Maut aa jaye mujhe aesi dwa de koi
Mere is khwaab ki tabeer bata de koi
Jaane Zehra a.s dil-e-Haider a.s ko salamat rakhna
Ya Khudaa aale Payambar ko salamat rakhna
Writer Janab Ameer Qasim ( Kawaal Muzaffarnagar )
No comments:
Post a Comment