1. Humne kabhi Isyaa'n se Kinara na Kiya
Par tune dil aazurda hmara na kiya
Humne to jahannum ki bohat ki tadbeer
Lekin Teri rahmat ne gwaara na kiya
2. Mehboob ki ulfat se kinaara na kiya
Tanhaai me be iske guzaara na kiya
Khaliq ne rakha naam Muhammad s.a Khali
Nuqto'n ka bhi bhaar usse gwara na kiya
3. Roshni kuch bhi na thi shamme wila se pehle
Zulmate Aam thi'n Arbaabe wafa se pehle
Parde uth jayengy ta hadde yaqi'n peda kr
Aankh ko ghusl to de ashke aza se pehle
4. Mehve hairat bandagi ka hr tqaza reh gya
Aafree'n azme Hussaini naam haq ka reh gya
Kul ibaadate Jahan us ek sajde pr nisaar
Reg zare karbala pr jo adhoora reh gya
5. Mangna hi hai agr haq ke wali se mango
Jiski mitthi me khudayi hai usi se mango
Daulate hr do jahan kya hai wo jannat de de
Tumko jis shay ki zrurt hai Ali a.s se mango
6. Aainaye mishan ka shanasa aesa
Kausar hai jiski chullu me pyasa aesa
Kyu'n Faqr se jhumei'n na Rasool e arabi
Taqdeer se milta hai nwasa aesa
7. Kya Fikr jo Marqad me Andhera hoga
Isyaa'n ke Ghamo ranj ne ghera hoga
Aayengy madad ko mere maula NAZIR
Turbat me sar-e-shaam savera hoga
No comments:
Post a Comment