Followers

Sunday, August 24, 2025

Salaam : Allama Rabeed Baharvi

 1. Ye Matam-e-Shaheed jo Rasme Aza Bhi Hai

Tableeghe Amr-e-deen Ka ek silsila bhi hai

2. Sayye Amal Se Qismate Joshe Ola Bhi hai

Hur a.s Motaqid Hua to Sue Sheh Chala Bhi Hai

3. Ye baat har Musafire Firdaus Jaan le

Jannat Ke Raste Me Haram-e-Karbala Bhi hai

4. Khamosh Hai Tamam Yazeedo'n Ki Baia'tein

Tan se juda Hussain a.s ka Sar Bolta Bhi hai

5. Lakho'n se Jung Pyaas Ghamo Dard-o-Zakhm-o-Khu'n

Shabbir a.s Ke liye Ye koi Mas-ala bhi hai

6. Asghar a.s ne Dil Hila diye Aadaye Deen ke 

Ye Jung Ibteda Hi nahi Inteha Bhi Hai

7. Sajde me sar Utarne walo Tumhi Kaho

Batil Ki Quwwato'n se Kabhi Ye Dara Bhi Hai

8. Betha Ghubaare Karbo-bla To nazar Pda 

Apni Jagah Rasool Bhi Hain Aur Khuda Bhi hai

9. Shabbir a.s Ab Ba-Qasde Shahadat Hai Hamlawar

Ek Muntazir Hai Ek Qyamat Bapa Bhi Hai

10. Abbas a.s Ko Khudaye Wafa Manta Hun Mein

Ye Aur Baat Hai wo Mera Na-Khuda Bhi hai 

11. Bhaari Hain Ambiyan Par 72 Khuda Parast 

Maidan Mein Shabeeh-e-Rasool-e-Khuda Bhi Hai

12. Ya Rab Tere Jaha'n me Khuda To Bohat Hue

Lekin bata Hussain a.s Koi Dusra Bhi Hai

13. Lashkar Ko Sabr-o-himmat-e-Aabid a.s Se Khauf Tha

Pairo'n mein Bediya'n Hain Rasan Me Gala Bhi Hai

14. Aulad-e Fatema a.s Ke Saro'n Par Rida Nahi

Ae Aaftabe Hashr Tujhe Kuch Pata Bhi hai 

15. Tum Be-Khatar Hussain a.s Ko rote Raho Rabeed 

Mushkil me Jo Pada Hai to Mushkil Kusha Bhi Hai 


Salaam : Afsanaye Shabbir a.s ko Dil kese Bhula de

 1. Afsanaye Shabbir a.s ko Dil kese Bhula de

Zikre Shahe Mazloom do Aalam Ko Hila de

2. Chheh Maah ke Bacche Bhi Kahin Jaate Hain Run me

Haatho'n pe Shahe deen Ke wo Asghar a.s Ke Irade

3. Aenthi Hai zabaa'n Khushk hai Lab Pyaas Ke Maare

Hai koi Jo Paani Ali Asghar a.s Ko pila de

4. Behte hue Asghar a.s ka Lahu Dekhte walo

Shabbir a.s Sa Sabir Koi Duniya me Dikha de

5. Mayyat Ali Asghar a.s Ki liye Rote Hain Maula

Bano se Khabar Jaa ke Koi itni Suna de

6. Ab Raat Hui Jaati Hai Ae Hasliyo Wale

Aaja tujhe Maadar Teri Jhule me Jhula De

7. Laashe Ali Akbar a.s pe Yhi Kehte the Maula

Beta tere Ghum me Humein Ab sabr Khuda de

8. Kis Ban Me Tujhe Dhundhne Jaye Teri Madar

Beta Ali Asghar  a.s Mjhe Aawaz Suna De

9. Sughra A.s Ki Zubaa'n Par Yhi Din Raat Dua Thi

Ya Rab Mere Baba Se Mujhe Jald Mila de

10. Kat te Hue Bhai Ka gala Dekh Rahi hai 

Ae shimr Dare Khaima Se Zainab a.s Ko Hata de


Saturday, August 23, 2025

Salam : Allama Rabeed baharvi Kawal

1. Ab tak to Sipahe Aalam se Uska na koi Humsar Nikla

Chhota sa Mujahid Asghar a.s bhi Sach hai ki bda Safdar Nikla

2. Asghar a.s ki hasi'n ka Koi Jawab Aada Ke Labo'n Tak Aa na Ska

Gardan Ke liye Navak Aaye Pyase Ke Liye Khanjar Nikla

3. Jungaah ki chashme Haira'n ko Qasim a.s ki tajalli Yad nhi

Itna to Mawarriq Likhta hai Khaime e Qamar Bahar Nikla

4. Bhai ki Wafa ka Afsana Abbas-e-Ali a.s pr Khtm hua

Zainab a.s se na aage baat badhi jb taskraye Khwahar nikla

5. Firouniyo Musaai hona kuch sudo Ziya tanha ka Nahi

Ek shaqs maye lashkar duba Ek shaqs maye lashkar Nikla

6. Paalane shutar ke Mimbar yun leke Nabi Haider a.s ko chale

Bhulegi na Duniya gar Suraj Matle se zra hatkar Nikla

7. Ghar Baar liye Shabbir a.s chale jis trh Rahe Qurbaani me

Tariq-e-Shahadat batla de aese koi Paighambar nikla

8. Kaabe se hi kya dil se bhi nisha'n Haider a.s ne buto'n ke saaf kiye

Jo daste Khuda ke haath Lga gir kar wo sanam Pathhar nikla

9. Abbas-e-Ali Maidan me hain Lashkar se niklna thik nahi'n

Maut uspe Badhegi chi ba Jabi badle hue jo tewar Nikla

10. Irfaane Imamat ka ek pal hai jehal ki sadiyo'n par Bhari 

Hur a.s Behre Shahadat me aesa duba ke lab-e-kausar nikla

11. Abbas-e-wafa maidan me hain lashkar se niklna thik nahi'n

Sahil pe saro ki barish ki darya se na daman tar nikla

12. Darwazaye shehre ilm hai jo kya qasre jihalat uske liye

Kya chiz samajhti thi duniya kya chiz Dare khaibar nikla

13. Aamal ke qad napte the jahan paimanaye haq se mehshar me

Shabbir a.s ke jisme be sar se ucha na kisi ka sar nikla

14. Hum Raqibe doshe Ahmad ke roze ki ziyarat kyun na krein

Is Khaak pe jo bhi aa betha wo arshe baree'n hokar nikla

15. Shaame shabe hijrat ke dushman khush the ke hasad ki aag bujhi 

Jab zulm ke hatho'n Aabid a.s ke niche se jla bistar nikla

16. Humshakle Nabi barchi khaye Dum tod rha tha jab run me

Aflaak ki chashme hairan se ta hasr na wo manzar nikla

17. Han paaye swate aabid me ab tak na koi larghish aayi

Wo taqt-e-sitam wo taaje shahi Bimaar ki ek thokar nikla

18. Ashke ghume sarwar ki manzil Madar se Rabeed-e-Zaar Samajh

Rumaal me Zehra a.s Ke Rakkha Aankhon se jo ye Gohar Nikla


   - Allama Rabeed Baharvi Sahab, Kawal Jansath , Muzaffarnagar

Friday, August 22, 2025

Sher

 1. Takleef deh Hai Itni Daraziye Umr Bhi

Apne chaman me phirte hain be-aashna se hum

                                    - Janab Nazir Hasan

2. Guzarti Ja rahi hai zindagi yun Daar-e-faani se

Ke Jaise Bulbula Uthta Hai or Milta hai pani se

Khuda Rkhe Salamat is Zayifi Ko Qayamat Tak

Palatkar Phir na koi Mil ska Apni Jawani se

                                   - Janab Ameer Qasim Zaidi

3. Tum to Soti ho Sare Khaak Sware Gesu

Baal kiske Mere Laashe pe Parishaa'n Hogey

                           - Khandan ke buzurg jinhone apne zoja ke inteqaal par ye sher likha tha 

Sunday, August 17, 2025

Marsiya ( Shahadate Janabe Ali Akbar a.s)

1. Jab Gira Khake Sina Sine Pe Akbar a.s Run Me

Jum Gyi Aake Dubara Safe Lashkar Run me

Shah Kehte The Kahan Ho Mere Dilbar Run me 

Baap Bechain Hai Hum-Shakle Payambar Run me

Ab Nazar Bhi Nhi Aata Kidhar Aau'n Beta

Kis Tarah Aake Teri Laash Uthaau'n Beta


2. Ab Akela Hu Nahi Koi Sahara Beta

Chhoda Pardes me Kyun Sath Hmara Beta 

 Sabr Kis kisko Kre Baap Tumhara Beta

Tere Marne ne Hme Aur Bhi Mara Beta

Dil Ko Dharas Thi Brabar ka pisar Baqi Hai

Aa gyi Maut Tumhe Aur Padar Baqi Hai


3. Kya Isi Waaste Maa Ne teri Pala Akbar a.s

Dil Ka Arman Bhi Koi Na nikala Akbar a.s

Beta Hota Hai Budhape ka Sahara Akbar a.s

Me zayiifi Me Uthaauo'n Tera Laasha Akbar a.s

Jald Ab Chehraye Purnoor Dikha do Beta

Dhundta Phirta Hun Aawaz Suna Do Beta


4. Ghash me Sun li Ali Akbar a.s Ne jo Faryade Hussain a.s 

Gir Pade Uth ke Ye Sine me Hua Dil Bechain 

Beqrari me Pukaare Ye basad Shevano Shain

Ae Muhammad s.a Ke Pisar Uqda Kushaye Konain

Dum Hai Chhati me Ruka Kuuch Ki Tyarri Hai

Aaiye Jld Ke Hungame Madad gaari Hai


5. Sunke Aawaze Pisar Sayyade Wala Daude

Neem Bismil Ki Tarah Gir ke Har ek Jaa Daude

Kabhi khole hue Aaghoshe Tamanna Daude

Kabhi Thame Hue Haatho se Kaleja Daude

Jaa'n Balab Ho Gye Sadme Ye Jigar Par Pohche 

Thokre Khaate hue Laashe Pisar Par Pohche


6. Kholkar Aankho'n ko Hazrat Ne ye phir Shah se Kaha

Sadqe is Lutf Ke Is banda Nwazi Pe fida

Mujhko Aaghosh me Is Waqt liye hian Zehra a.s

Jaame Kausar Kabhi dete Hain mujhe Shere Khuda

Paani ko Dekhke Dil Ghum Se Phata Jata Hai

Aapko Pyaas ka Sadma Mujhe Yaad Aata Hai


7. Roke Sheh Bole Ba Ab Dil na Dukhao Beta 

Tishnagi par Meri Aansu Na bahao Beta

Haath Chhati Pe Jo Rkha Hai Uthao Beta

Zakhm Sine Ka Mujhe Bhi to Dikhao Beta

Kis Zabaa'n Se Kahun Maula ne Mere Kya Dekha 

Tukde Tukde Ali Akbar a.s Ka Kaleja Dekha


8. Shah-e-dee'n Dair Talak Laashe Pisar Par Bethe

Jaanibe Khaima Ye Aawaz Suna Kar Bethe

Naujawa'n Bete ka Ghum Haye na Dil Par Bethe

Gaud me Leke Kabhi Laashaye Akbar a.s Bethe

Kabhi Haatho'n Se Jigar Thaam Ke Reh Jate The

Ghum Me bete Ke ye Aalam Tha Na Uth Paate the


9. Kabhi Kehte the Habib Ibne Mazahir Aao

Waqt-e-Imdaad Hai Abaas-e-Dilawar Aao

Kis se Faryaad Karei'n Koi To Uthkar Aao

Ab Uthaana Hai Hme Laashaye Akbar a.s Aao

Na Raha Ab Koi Peeri Ka Sahara Yaaro

Zaalimo'n Ne Mere Farzand Ko Mara Yaaro


10. Ya Ali.as Mu se Kaha Aur Uthaya Laasha 

Yahan Bete Ka wahan Beti Ka Tadpa Laasha

Hil Gyi Run ki Zami'n Kaandhe Pe Aaya Laasha

Ghul Hua Shah Ne Payambar Ka uthaya Laasha

DekhKar Zainab-E_Muztar Nikal Aayi Bahar 

Kok Pkde Hue Madar Nikal Aayi Bahar 

Marsiya (Dar Haal Janabe Imam Hussain A.s)

 1. Hungame Asr Tha ke Shahe Nek Khu'n Gire

Zakhmo'n se Ud Ke Qatraye Khu'n chaar Su Gire

Kya Sambhale jiske jism se Sero Lahu Gire

Sajde Ka Ishtiyaaq Jo Tha Qibla Ru Gire


Aankhein Thi'n Band Jalwaye Haq Tha Nigaah Me

Girte Hi Mehav Ho gye Yaade Ilah me


2. Aada Me Ghul Hua Ki Hmari Zafar Hui

Ghode se Lo Hussain A.s Gire Jung Sar Hui

Zainab a.s Rida Ko Phenk Ke Uryan Sar Hui

Chillayi Yun Sakina a.s Ke Me Be-Padar Hui


Haye Haye Koi Nhi Shahe Wala Ki Laash Par

Amma Bas Ab Chalo Mere Baba Ki Laash par


3. Masnad Pe Shah ki Lot ti Thi koi Sogwar

Haye Haye ka Shor tha Ke Qayamat Thi Aashkar

Chillati Thi Koi Mere Sayyed tere Nisaar

Diyohdi pe Aake Gir Pde Sajjad-e-Naamdaar 


Ghul Tha Falak Ne Daftare Duniya Ulat Diya

Fizza Ne Khaime Gaah Ka Parda Ulat Diya


4. Zainab a.s ne Dar se Khaime Ke Bahar jo Ki Nazar

Dekha ke Zuljanah Khada Hai Lahu me Tar

Rota hai Or Sar Ko Patakta Hai Khaak Par

Jakar Qareeb Ghode ke Boli Wo Nohagar


Ae Zuljinah Haq Ka Fidayi Kahan Gya

Kuch To Byan Kar Mera Bhai Kaha Gya 


5. Ae Zuljinah Bekaso Be Par Ko Kya Kiya

Aaqa ko Or Deen ke Rahbar Ko Kya Kiya

Zehra a.s Ke laal Dilbare Haider a.s Ko Kya Kiya

Ae Zuljinah Mere Bradar Ko Kya Kiya


Ghum Se Kaleja Dukhtare Zehra a.s Ka Phat Gya

Ghoda Pukara Sar tere Bhai Ka cut Gya 


6. Ye sun ke Ghar me Aur Qayamat Hui Bpa 

Har Simt Haye Haye Hussaina Ki Thi Sada

Bano Tadap Ke Kehti Thi Haye Haye ye Kya Hua 

Bacche yateem Ho Gye mere Karun Mein Kya


Saidaniyon me Ghul Tha Yahan Shoro Shain Ka 

Laasha Wha'n Tadapta Tha Be-sar Hussain a.s Ka

Thursday, August 14, 2025

Salaam : Aawara Watan Zainab a.s Jayegi Watan Kese

 1. Aawara Watan Zainab a.s Jayegi Watan Kese

Mu Sabko Dikhayegi Pabande Mahan Kese

2. Bhaiyya Tere Laashe Ko is Sune Byaa'n Ba'n Mei'n

Be goro Kafan Tanha Chhodegi Behan Kese

3. Ye Dushmane Dee'n Humko Le Jate Balwe Mei'n

Be Maqna-o-Chadar ke Jayegi Behan Kese

4. Zainab a.s yhi Keh Keh kar Abbas a.s Ko roti Hai

Tum Hote to Bazu Me Bandhti Ye Rasan Kese

5. Armaan Tha Muddat Se Beta Teri Shaadi ka

Ab Biyah Ke Laaungi Me Ghar me Dulhan Kese

6. Pohchungi Madine Jab Puchhengy Sabhi Aakar

Pamaal Hua Run Me Zehra a.s Ka chaman Kese

7. Sughra a.s Ne Agar Puchha Aakar Ali Asghar a.s Ko

Batlao Phuphi Mera Hai Ghuncha Dahan Kese

8. Me Lut Gayi Jungle Me Ya Shahe Najaf Aao

Pardes Me Bhai Ko Pehnau Kafan Kese

Shabe Aashoor Salam ( Written By Janab Ameer Qasim )

 1. Aashoor ki shab kehti thi'n Zainab a.s Yhi rokar , Ya rab Na Sehar Kar

Kal Bhai Mera Hoyega Pyasa Tahe Khanjar, Ya rab Na Sehar kar

2. Pardes Hain hum Dur Nahi Koi Hmara, Hai Tera Sahara

Lut Jayega Kal Fatema Zehra a.s Ka Bhara Ghar, Ya rab Na Sehar kar

3. Bhaiyya Pe Fida Hoyengy Kal Moniso-yawar, Pardes Me Aakar

Kal Khun me Dubega Mera Qasim-e-Muztar, Ya rab na sehar kar

4. Mashkiza Bhi Chhid Jayega ek Teer-e-Sitam se, Darya ke Kinare

Kat Jayenge Bazuuye Alamdare Dilawar, Ya rab na Sehar Kar

5. Thi Dil me Tamanna Ke Dulhan Biyah ke Laati, Aur Duhla Banati

Kal Mujhse Bichhad Jayega Mera Ali Akbar a.s, Ya rab na Sehar Kar

6. Wo Pyaas Ki Shiddat Wo Shahadat Ki Tamanna, 6 Maah Ka Baccha

Mar Jayega Haatho'n Pe Padar ke Ali Asghar a.s, Ya Rab Na Sehar Kar

7. Sab Chadare Chhin Jaye'ngi Jal Jayengy Khiame, Na moose Nabi Ke

Kal Hoyengi Saiydaniya'n Balwe Me Khule Sar, Ya Rab na Sehar kar

Salaam ( Dar haal Janabe Ali Akbar a.s )

1. Dum tode Jab Jawa'n to Sarahne Padar Na Ho

Kadyal Jawa'n ki Laash pe Ma noha gar Na Ho

2. Kuch Dair Or Chaand Se Chehre Ko Dekh lun

Madar Ki Ye Dua Hai Ilahi Sehar Na Ho

3. Kehne Lga Layee'n Ali Akbar ko Mar Ke

Barchi me Ae Khuda Kahi'n Khun-e-Jigar Na Ho

4. Ghode se Gir ke Akbar-e-Majroo'h Ne di Sada

Baba ab Aaiye Mera Khune Jigar Na Ho

5. Akbar a.s Haale Zaar pe Maula Na Roiye

Kadyal Jawa'n Ke marne Ki Maa Ko Khabar Na Ho

6. Aaye na Phir Palat ke Madine Me Shahe Dee'n

Yarab Kisi Ghareeb ka Aesa Safar Na Ho

Wednesday, August 13, 2025

Hussain a.s Ibne Ali a.s Ko haq ne bakhshe dostdaar aese

 1. Hussain a.s Ibne Ali a.s Ko haq ne bakhshe dostdaar aese 

Na hath aaye kabhi daste khuda ko jaa'n nisaar aese

2. Nwase Pust par nana ki zulfein nanhe hatho'n me
Muhaar aesi ho hath aese, shutar aesa swaar aese

3. Bhala Haider a.s ke aage kya Haqiqat baabe khaibar ki
Utha kr phenk de'n dm me agar dar ho'n hazar aese

4. Janab-e-Hur a.s maye farzando abdo quwwate baazu
Hazaro'n pr na kyun bhari ho'n jab ek dil ho chaar aese

5. Mata-o-maal behre khamse Aale Aba chhora
Khuda ki shaan hai Laakho'n me nikle sirf chaar aese

6. Ali a.s ke hath per Khandaq se fauj utri to hm samjhe
Kareingy hasr me dozaq se har momin ko paar aese

7. Habib-e shah ko joshe tawalla me jo josh aya
Budhape me shabab aya tane ye ek baar aese

8. Rahe saaye me accho ke bura koi to kya haasil
Tah-e-daamane gul aksar raha krte hain khaar aese

9. Chali jis dm to phir qudsi ke par se kya pare rukti
Haazaro maarke jhele hue thi zulfiqaar aese

10. Badhe Haider a.s dar-e khaibar giraya dar udaye sar
Kate qudsi ke bhi sheh par kiye bdh bdh ke waar aese

11. Shahe mazloom ki ulfat me Zainab a.s ghar luta bethi'n
Na dekhi,n ulfate aesi na ishq aesa na pyaar aese

Rubaaiyaat

 

 1. Humne kabhi Isyaa'n se Kinara na Kiya

Par tune dil aazurda hmara na kiya

Humne to jahannum ki bohat ki tadbeer

Lekin Teri rahmat ne gwaara na kiya 


2. Mehboob ki ulfat se kinaara na kiya 

Tanhaai me be iske guzaara na kiya

Khaliq ne rakha naam Muhammad s.a Khali

Nuqto'n ka bhi bhaar usse gwara na kiya 


3. Roshni kuch bhi na thi shamme wila se pehle

Zulmate Aam thi'n Arbaabe wafa se pehle

Parde uth jayengy ta hadde yaqi'n peda kr

Aankh ko ghusl to de ashke aza se pehle


4. Mehve hairat bandagi ka hr tqaza reh gya

Aafree'n azme Hussaini naam haq ka reh gya

Kul ibaadate Jahan us ek sajde pr nisaar

Reg zare karbala pr jo adhoora reh gya


5. Mangna hi hai agr haq ke wali se mango

Jiski mitthi me khudayi hai usi se mango

Daulate hr do jahan kya hai wo jannat de de

Tumko jis shay ki zrurt hai Ali a.s se mango


6. Aainaye mishan ka shanasa aesa

Kausar hai jiski chullu me pyasa aesa

Kyu'n Faqr se jhumei'n na Rasool e arabi

Taqdeer se milta hai nwasa aesa


7. Kya Fikr jo Marqad me Andhera hoga

Isyaa'n ke Ghamo ranj ne ghera hoga

Aayengy madad ko mere maula NAZIR

Turbat me sar-e-shaam savera hoga 

( Written by Janab Nazir Hasan Ibne Zahoor Hasan , Kawal Muzaffarnagar India)

8. Duniya ko kya talab karein Rabbe Ula se hum

Behtar hai ye Khudai ko mange Khuda se hum

Kehte hai Ahle khuld agar apna bus chale

Badle Bahisht ko Chaman-e-Karbala se hum

Hussain a.s Ibne Ali a.s Ko haq ne bakhshe dostdaar aese

1. Hussain a.s Ibne Ali a.s Ko haq ne bakhshe dostdaar aese 

Na hath aaye kabhi daste khuda ko jaa'n nisaar aese

2. Nwase Pust par nana ki zulfein nanhe hatho'n me
Muhaar aesi ho hath aese, shutar aesa swaar aese

3. Bhala Haider a.s ke aage kya Haqiqat baabe khaibar ki
Utha kr phenk de'n dm me agar dar ho'n hazar aese

4. Janab-e-Hur a.s maye farzando abdo quwwate baazu
Hazaro'n pr na kyun bhari ho'n jab ek dil ho chaar aese

5. Mata-o-maal behre khamse Aale Aba chhora
Khuda ki shaan hai Laakho'n me nikle sirf chaar aese

6. Ali a.s ke hath per Khandaq se fauj utri to hm samjhe
Kareingy hasr me dozaq se har momin ko paar aese

7. Habib-e shah ko joshe tawalla me jo josh aya
Budhape me shabab aya tane ye ek baar aese

8. Rahe saaye me accho ke bura koi to kya haasil
Tah-e-daamane gul aksar raha krte hain khaar aese

9. Chali jis dm to phir qudsi ke par se kya pare rukti
Haazaro maarke jhele hue thi zulfiqaar aese

10. Badhe Haider a.s dar-e khaibar giraya dar udaye sar
Kate qudsi ke bhi sheh par kiye bdh bdh ke waar aese

11. Shahe mazloom ki ulfat me Zainab a.s ghar luta bethi'n
Na dekhi,n ulfate aesi na ishq aesa na pyaar aese

Ulfate Shabbir a.s Ka Maskan Dil-e-Muztar me hai

 1.Ulfate Shabbir a.s Ka Maskan Dil-e-Muztar me Hai

Uski Qudrat Dekhye Darya or ek Saghar me hHai

2. Tazkara Mazloomiye Sheh Ka Zmane Bhar me Hai

Chhup Gya hai Chand lekin Roshni har Ghar me Hai

3. Az Muhammad s.a Ta Muhammad a.s Sab Muhammad a.s sab Ali a.s

Ahle Aalam Ye sifat Bas Fatema a.s Ke ghar me Hai

4. Kyun Na layein Aayaee Tathir Jibreel-e-Ami'n

Kayenaat-e-Qudarte Maabood ek Chadar me Hai

5. Wo do Aalam Ke Nabi Hain Ye do Aalam ke Imam

Farq Itna sa Ali a.s me or Paighambar me hain

6. Shame Hijrat Sote hi Haider a.s Payambar ho Gye

Wasf ye kaisa Rasool Allah Ke Bistar me Hai

7. Ulfate Aale Payambar Qabr me le Jaunga 

Kaam Aayega Yhi Sauda Jo mere Dil me Hai

8. Teer sa Shoba Lgaya Gardane Besheer par

Farq Ab Kya Hurmala Ke dil Me or Patthar me Hai

9. Ghaur se dekho Musalmano Kise karte ho Qatl

Jalwaye Husne Nabi Ruhe Ali Akbar a.s me Hai

10. Chalta Hai ruk ruk ke Halqe Shah be Takseer par

Quwwate Ehsas kitna Shimr Ke Khanjar Me Hai

11. Kham Hai Qadmo pr Tere Farqe Takabbur Ae Hussain a.s

Taaj Shahi Aaj bhi Maula teri Thokar me Hai


Basta Janab Ameer Qasim Ibne Nazir Hasan , Kawaal, Jansath, Muzaffranagar India 

Tuesday, August 12, 2025

Jahan Me Moniso Yawar Nazar Nhi Aata

1. Jahan Me Moniso Yawar Nazar Nhi Aata 

Talaash karte hain Rahbar Nazar nhi Aata

2. Jo Mang Lega Milega Hussain a.s ke Dar se

Ali o Fatema a.s Ka Ghar Nazar Nahi Aata

3. Wahi'n to Aye the Maula bhi kya nhi Maloom

Tawaf karte ho Patthar Nazar Nhi Aata

4. Rasool Kehte the Guzre hain teen din Bekaar

Jo Tod de dare Khaibar Nazar Nahi Aata

5. Ukhaad kar Padha Maula ne Naraye Takbeer

Ye Dekhlo Dare Khaibar Nazar Nahi Aata

6. Nida Ye Ghaib Se Aayi Bina Ali-e-Wali

Kisi Bhi Jung Me ho Sar Nazar Nahi Aata

7. Ilahi Bhej Hasan Askari a.s Ke bete ko

Koi Bhi Saniye Haider a.s Nazar Nahi Aata

8. Kamar ko Thaam ke Shabbir ne kaha Zainab a.s

Nishaane fauje Payambar nazar Nahi Aata

9. Na Bhai Hai na Bhateeja Kahan Talash Karein

Zayeef Baap ko Akbar a.s Nazar Nahi Aata

10. Muqable Me Ali a.s Ke jo Aaye hain QASIM

Unhe Ghadeer Ka Mimbar Nazar Nahi Aata


Written By Janab Ameer Qasim (Kawaal Muzaffarnagar)


Shabbir a.s sahara hai, Shabbir sahara hai

1. Shabbir a.s sahara hai, Shabbir sahara hai 

Momin ki na ho Bakhshish, kab inko gwara hai

2. Ye kehke Labe Dariya Abbas a.s ne dam toda

Jannat bhi hmari hai, Kausar bhi hmara hai

3. Jalti hu raiti par bacche hain shahe dee'n ke

Aur samne aankhon ke darya ka kinara hai

4. Lo sabr karo Zainab a.s aaghosh ke pale ko

Run se Ali Akbar a.s ne baba ko pukara hai

5. Do roz ke pyase hain pani do musalmano

Sukhe hue honto'n se Asghar a.s ka ishara hai

6. Jalte hue Khaimo'n se aawaz ye aati hai

Pardes me Zainab a.s ka ab kaun sahara hai

7. Hilti hai zami'n run ki faryad se Bano ki

Turbat me shahe dee'n ne Asghar a.s ko utara hai

8. Pardes me maula ko Chhodo na Ali Akbar a.s

Ghurbat me Zayeefi ka beta hi sahara hai

9. Hoti jo madine me kyun Kafn na pehnati 

Majboor hun mein bhai pardes me maara hai

10. Neze pe sare aqdas karta hai tilawat kyun

Rokar kaha Aabid a.s ne ye shewa hmara hai

11. Sar tasht me jab aaya darbare Yazeedi me 

Pucha gya Zainab a.s se ye bhai tumara hai 

12. Padhta hi rahe Qasim maula teri majlis me

Mushkil meri hal karna gardish me sitara hai 


Writer Janab Ameer Qasim ( Kawaal Muzaffarnagar )

Monday, August 11, 2025

Marsiya ( 9 Muharram Shab-e-Aashoor )

1. Momino raat muharram ki Jab aayi daswi

Jaagte jaagte aankhein ju'n hi baano ki lagi
Khwab me dekha ki ek bibi hai dukhya ghamgi'n
Sar khule baalo'n se ro ro ke wo jhade hai zami'n

Apne baalon se wo wo karti hai zami'n ko humwar
Khaak par bethi hai jungle me akeli laachar


2. Dekha bano ne kaha kon hia tu dukh payi
Apna ghar chhod k jungle me jo rone aayi
Kiske karan tujhe is bn me Musibat Layi
Mein bhi maloom karun kon hai tu dukh payi

Apne haatho'n se sawari hai zami'n kiske liye 
Sar ke baalo'n se buhaari hai zami'n kiske liye

3. Wo lagi kehne ke kya puche hai baano bibi
Fatema a.s zehra jise kehte hain mein hun bibi
Kal mere laal Hussaina ki yahan maut likhi
Haaye pyaasa use kal zabha karengy kufi

Chhod jayengy akela jo mere jaani ko
Uske laashe pe mein bethungi nigehbaani ko

4. Faaqe kar karke jise dudh pilaya baano
Jiska Haider ne har ek naaz uthaya baano
Apne kaandhe pe Muhammad s.a ne bithaya baano
Jisko Jibreel ne jhule me jhulaya baano

Ye na maloom tha sar uska katega bibi
Aj pardes me ghar mera lutega bibi

5. Chakkiyan pis ke mene ise pala bibi
Dil ka armaan bhi koi na nikala bibi
Haye kis mu se karoon giryaao naala bibi
Mera Shabbir a.s meri gaud ka pala bibi

Yaaro ansaar me baqi na bachega koi 
Mere bacche ko kafan tak bhi na dega koi 

6. Sunke ye baanu-e-muztar pe udasi chhayi
Ashak behne lge aankhon se bohat ghabrayi
Dil pe ek kohe alam tut pda chillayi
Bibiyo'n roo'o gharibo'n pe musibat chhayi

Baal bikhraye hue chaak garibaa'n dekha
Khwaab me Fatema zehra a.s ko parishaa'n dekha

7. Kaali poshaak me be maqnao chadar dekha
Kok pakde huye bethi hain zami'n par dekha
Na dikhaye kisi bibi ko wo manzar dekha 
Mene Shabbir a.s ki maadar ko khule sar dekha 

Baade murdan bhi mila chain na dam bhar ke liye 
Aaj wo roti hai jungle me bhare ghar ke liye 

8. Mere maula mere aaqa ko bula de koi 
Nikli jaati hai meri jaan suna de koi
Maut aa jaye mujhe aesi dwa de koi
Mere is khwaab ki tabeer bata de koi

Jaane Zehra a.s dil-e-Haider a.s ko salamat rakhna
Ya Khudaa aale Payambar ko salamat rakhna

Writer Janab Ameer Qasim ( Kawaal Muzaffarnagar )

Surah Al-Fatiha

 Arabic Text with English Translation

Verse 1:
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
Bismillahir-Rahmanir-Rahim
In the name of Allah, the Most Compassionate, Most Merciful

Verse 2:
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Al-hamdu-li-Llahi Rabbil-aalemeen
All praise is due to Allah, Lord of the Worlds

Verse 3:
الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
Ar-Rahman ar-Raheem
The Most Compassionate, the Most Merciful

Verse 4:
مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
Maaliki yaumid-Deen
Master of the Day of Judgment

Verse 5:
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
Iyyaaka na'budu wa iyyaaka nasta'een
You alone we worship and You alone we ask for help

Verse 6:
اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ
Ihdinas-siraatal-mustaqeem
Guide us to the straight path

Verse 7:
صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ
Siraatal-ladheena an'amta alaihim ghairil-maghduubi alaihim waladaaleen
The path of those You have blessed—not those You are displeased with, or those who are astray

Salaam : Allama Rabeed Baharvi

 1. Ye Matam-e-Shaheed jo Rasme Aza Bhi Hai Tableeghe Amr-e-deen Ka ek silsila bhi hai 2. Sayye Amal Se Qismate Joshe Ola Bhi hai Hur a.s Mo...